Thursday, September 29, 2011

25 Paise...

Band kar diye RBI ne ab chaar aane
Hum Aapke hain kaun mein hai Renuka Shahane
Acha acting karta hai uska pati Aushotosh Rane
Laughter Challenge aata hai TV pe hume hasane
Nahate waqt gaata hu main zor se roj gaane
Je sunte hi log kaan bandh Q karte hai naa jane
Match lete hai hum saamne wale ko haarane
Raja k darbar mein najane kitne khazane
Yeh sab toh hai bahane tujhe aazmane !!!
Samaj Samaj k Samaj le answer
Samaj ne ki baat hai
Nahi samja toh itna yaad rakhna
K din k baad he raat hai
Main fon uthau ya na uthau
baat to honi hi hai..
.
.
Main fon uthau ya na uthau
baat to honi hi hai..                
.
.
Mera favourite captain
Mahendra Singh dhoni hai...!!!

Wednesday, September 28, 2011

Maine banai shayari aur
main ban gaya shayar..
.
..
Maine banai shayari aur
main ban gaya shayar..
.
.
Electrician kehta hai ke
WHERE IS MY WIRE.. ???!!!

BOREDOM inspires............

Pak pak ke pak gaya hun…. Yeh bhi koi life hai..
Kitchen me dhaar wali mere pass ek knife hai..
Life nahi toh kya hua books mere sath hai..
Interview dene par samza ke bande me kuch baat hai..
Books mere sath hai fir looks ka kya kaam hai..
Itne kapde pehne fir bhi munni toh badnaam hai..
Looks ka kaam nahi toh kya figure toh badi mast ho..
Wine chhod kar whisky pee lo fir life ekdam jabardast ho..
Figure se muze yaad aaya ke padhai abhi baaki hai..
Pura badan plastic hai.. Usi ka naam raakhi hai !!! ;)

Happy realization !!!!

Tere andar ek poet chupa tha..
Jo itne saalo se kiske liye ruka tha..
Likhte hi logone kaafi taarif ki..
Tu bhi kuch kam nahi jo shayari ki barish ki…!!!!!!

Yeh toh Hit hai bhaaiiii....

Mere gaane ka asar sab pe chhaya..
Shoot out @ lokhandwala me
Vivek oberoi ka naam hai maya..
White feather production ne woh movie theater me laya..
Mika ne usme ek hit gana gaya..
Jisse cockroach ka hogaya safaya..
Jinko yeh line nahi samza unko maine nahi samzaya..
Jinko samaz gaya unho ne accha dimag hai paya..
Ab mujhpe nahi kisika bhi saya..
Kyon ki dhoop nikali nahi aur barish ne tufaan machaya..

Khatam kar du mere lines
Q ki padhai abhi  baaki hai..
Kuch aur kehne ki jarurat nahi..
Ab books hi mere sathi hai..!!!! :)