Monday, July 23, 2012

Raahi...





Besoore Geetonko Soorila Banane Chala
Bematlab Baatonko Matlab Dene Chala
Yunhi Chalta Gaya Raahi Raah Dhundte
Chalte Chalte fir Raah Bhool Pada..

Sochke Nikla Badal Dunga Duniya
Lautkar Aaya Khud Badlaasa
Zindagi Ka Maqsad Tha Janana
Par Jaana. Ke Janana Hai Bematlab..

Zindagi Suljhane Chala
Khudke Paas Aane Chala..
Ulajh Gaya Usme Jaake
Aur Khud Ko Bhool Jaane Laga.. !!!