Friday, October 28, 2011
Maut...
Marna toh ek din sabhi ko likha hai
Phir kyu andar yeh darr chupa hai
Dil k dhadkan ko kuch saal he toh chalna hai
Ek din sabko he marna hai
Jiska waqt aaya hai
Woh toh chal basega
Kuch bhi kaho tum
Teri kaun sunega
Aur kuch kiya toh bhi
Kitna der woh rukhega
Sabka dil yaha toh dukhega..
Saason ko bahon me leke jaaegi
Phir kabhi iss sharir me na aaegi
Aasoun se aakh yeh bhar jaaegi
Tumhari yaad jab hume aaegi
Zindagi khatam ho jaati hai yaha
Kya pata uske baad hoga kya waha
Lekin uske baad tu jaayega jaha
Isi tarah tu khushiyan faila..
Monday, October 24, 2011
Duniyan Ka Dastur ...
Bas unhe udaane k liye..
Mehnat aaj kal kam hai
Inhe kamane k liye..
Koshish sabki jaari hai
Ek dusre se aage jaane ko..
Yaha toh sirf collegues hai
Dikhaau friends banane ko..
Inhe toh sirf kaam se matlab hai
Humse toh bilkul nahi..
Mauka dhundte rehte hai
Apni maarne mein sahi..
Din bhar toh saath rehte hai
Phir bhi hai anjaan..
Sapne toh bas inke
Paisa, roti aur makaan..
Duniya ko dikhana hai
Inki jeb hai kitni bhari..
Credit card pe chalti hai
Inki zindagi saari..
Paison se kharida nahi jaata
Dosti ya pyar ka vaada..
Kamane k chakkar mein dekho
Hogaya hai vajan aadha....!!!
Wednesday, October 12, 2011
Monday, October 10, 2011
Tanhaaiyan...
Akele tha main yaha
Aur sirf meri tanhaiyan
Jaana tha mujhe jaha
waha thi sirf gehraiyan
Baraste baarish me rota hua
Puri raat na sota hua
Bas yahi sochta
Kaash woh mere paas hota
Par kuch na kar paata
Sirf sochta rehta
Kya usse main kehta??
Dusron ko harpal hasata
Dard ko apne andar dabata
Kisi se kuch na kehta
Aur kitna yeh sehta
Kitni der tak aise rehta
Thi mushkile zindagi mein
Jo suljha na saka
Dabta gaya usme bas
Aur kuch kar na saka
Jaana tha shayad bohot dur
Isliye chup tha baitha
Apna toh maanta na tha
Phir kyu yeh main kehta
Bas intazar hai uss ghadi ka
Jab main waha jau
Itni dur iss jagah se
K phir lautkar na aau
Ruka hai waha koi
K wapas yaha aaya hai
Kise pata k taqdir mein likha hai
ya phir tu ne likhvaya hai
ya phir tu ne likhvaya hai
Pyar toh karte hai yaha sab
Phir kyu waha jaana hai
yehi sawaal toh itne der tak
Mujhe rok paaya hai...
Sunday, October 2, 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)






