Monday, October 10, 2011

Tanhaaiyan...


Akele tha main yaha
Aur sirf meri tanhaiyan
Jaana tha mujhe jaha
waha thi sirf gehraiyan

Baraste baarish me rota hua
Puri raat na sota hua
Bas yahi sochta
Kaash woh mere paas hota
Par kuch na kar paata
Sirf sochta rehta
Kya usse main kehta??

Dusron ko harpal hasata
Dard ko apne andar dabata
Kisi se kuch na kehta
Aur kitna yeh sehta
Kitni der tak aise rehta

Thi mushkile zindagi mein
Jo suljha na saka
Dabta gaya usme bas
Aur kuch kar na saka
Jaana tha shayad bohot dur
Isliye chup tha baitha
Apna toh maanta na tha
Phir kyu yeh main kehta
Bas intazar hai uss ghadi ka
Jab main waha jau
Itni dur iss jagah se
K phir lautkar na aau

Ruka hai waha koi
K wapas yaha aaya hai
Kise pata k taqdir mein likha hai
ya phir tu ne likhvaya hai
Pyar toh karte hai yaha sab
Phir kyu waha jaana hai
yehi sawaal toh itne der tak
Mujhe rok paaya hai...

1 comment:

  1. Taqdeer likhi nahi likhwaayi jaati hai..
    Har andheri raat ke baad nayi subah aati hai..
    Dard hai zindagi me isiliye to khushi ko ehmiyat hai..
    Jara apno ke aankho me dekho, samzoge pyaar ki kya kimat hai !!

    ReplyDelete